bagh-e-jahan mein ek gul-e-raana tumhin to ho
bāġh-e-jahāñ meñ ik gul-e-rā'anā tumhīñ to ho
'ālam hai jis pe vālā-o-shaidā tumhīñ to ho
haañ haañ unheñ laboñ ne to murde jilā.e haiñ
kahtā to huuñ huzūr masīhā tumhīñ to ho
'ālam hai mubtalā tere husn-o-jamāl par
kaunain meñ diloñ kī tamannā tumhīñ to ho
maiñ kyā batā.ūñ qibla-e-'ushshāq kaun hai
sab jānte haiñ kā'ba-e-dil-hā tumhīñ to ho
anjān ban ke pūchhte haiñ kis adā se vo
'fitrat' hai jin kā naam vo rusvā tumhīñ to ho
bagh-e-jahan mein ek gul-e-ra'ana tumhin to ho
'alam hai jis pe wala-o-shaida tumhin to ho
han han unhen labon ne to murde jilae hain
kahta to hun huzur masiha tumhin to ho
'alam hai mubtala tere husn-o-jamal par
kaunain mein dilon ki tamanna tumhin to ho
main kya bataun qibla-e-'ushshaq kaun hai
sab jaante hain ka'ba-e-dil-ha tumhin to ho
anjaan ban ke puchhte hain kis ada se wo
'fitrat' hai jin ka nam wo ruswa tumhin to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.