zulf-e-ambar ko mere ruKHsar rahne dijiye
zulf-e-'ambar ko mire ruḳhsār rahne dījiye
ittihād-e-kāfir-o-dīn-dār rahne dījiye
raat ab thoḌī sī hai inkār rahne dījiye
haath paa.ī ho chukī sarkār rahne dījiye
mar hī jā.ūñgā agar utrā mohabbat kā buḳhār
hazrat-e-'īsā mujhe bīmār rahne dījiye
raat abhī baaqī hai ruḳhsat aap hote haiñ huzūr
sub.h tak qismat mirī bedār rahne dījiye
toḌiye merī taraf khiḌkī nazāra ke liye
ġhair ke ghar kī taraf dīvār rahne dījiye
zulf-e-'ambar ko mere ruKHsar rahne dijiye
ittihad-e-kafir-o-din-dar rahne dijiye
raat ab thoDi si hai inkar rahne dijiye
hath pai ho chuki sarkar rahne dijiye
mar hi jaunga agar utra mohabbat ka buKHar
hazrat-e-'isa mujhe bimar rahne dijiye
raat abhi baqi hai ruKHsat aap hote hain huzur
subh tak qismat meri bedar rahne dijiye
toDiye meri taraf khiDki nazara ke liye
ghair ke ghar ki taraf diwar rahne dijiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.