be-vafā saarā zamāna ho gayā
ab vafā karnā fasāna ho gayā
ḳhuub paayā 'ishq karne kā maza
hasratoñ kā dil ḳhazāna ho gayā
har ghaḌī vo chuTkiyāñ lene lagī
mashġhala un ko satāna ho gayā
'ishq meñ farhād ke majnūñ ke sivā
apnī ulfat kā fasāna ho gayā
dil se chāho jis ko vo nafrat kare
haaye kyā ulTā zamāna ho gayā
thak gayā dil karte karte intizār
ik qiyāmat un kā aanā ho gayā
aañkh laḌte hī lagā mizhgān-e-tīr
murġh-e-dil kaisā nishāna ho gyā
be-wafa sara zamana ho gaya
ab wafa karna fasana ho gaya
KHub paya 'ishq karne ka maza
hasraton ka dil KHazana ho gaya
har ghaDi wo chuTkiyan lene lagi
mashghala un ko satana ho gaya
'ishq mein farhad ke majnun ke siwa
apni ulfat ka fasana ho gaya
dil se chaho jis ko wo nafrat kare
haye kya ulTa zamana ho gaya
thak gaya dil karte karte intizar
ek qiyamat un ka aana ho gaya
aankh laDte hi laga mizhgan-e-tir
murgh-e-dil kaisa nishana ho gya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.