Font by Mehr Nastaliq Web

mujhe kya qarar nasib ho meri aaj tak talabi nahin

Unknown

mujhe kya qarar nasib ho meri aaj tak talabi nahin

Unknown

mujhe kyā qarār nasīb ho merī aaj tak talabī nahīñ

maiñ hanūz tishna-e-dīd huuñ jo lagī huī hai bujhī nahīñ

vo aable haiñ vahī jalan koī soz-e-ġham meñ kamī nahīñ

jo lagā ke aag ga.e ho tum vo lagī huī hai bujhī nahīñ

vahī soz hai vahī saaz hai vo ḳhalish bhī hai jo miTTī nahīñ

vahī dard letā hai chuTkiyāñ rag-e-jāñ meñ jis kamī nahīñ

merī mastiyoñ meñ davām hai merī mastiyoñ meñ kamī nahīñ

ye surūr-e-’ishq-e-rasūl hai ye ḳhumār-e-bāda-kashī nahīñ

terā nuur nūr-e-qadīm hai terī zaat zāt-e-'azīm hai

ḳhudā nahīñ to nahīñ sahī ye sifāt bhī basharī nahīñ

nazar nazar se pilā.e merī mastiyoñ ko baḌhā.e

tere dam-qadam ḳhair ho abhī pyaas dil bujhī nahīñ

ye karam hai rabb-e-karīm ki amīn-e-maqsad-e-'ishq huuñ

tere āstāñ ke sivā kahīñ ye jabīn-e-shauq jhukī nahīñ

mujhe kya qarar nasib ho meri aaj tak talabi nahin

main hanuz tishna-e-did hun jo lagi hui hai bujhi nahin

wo aable hain wahi jalan koi soz-e-gham mein kami nahin

jo laga ke aag gae ho tum wo lagi hui hai bujhi nahin

wahi soz hai wahi saz hai wo KHalish bhi hai jo miTTi nahin

wahi dard leta hai chuTkiyan rag-e-jaan mein jis ki kami nahin

meri mastiyon mein dawam hai meri mastiyon mein kami nahin

ye surur-e-’ishq-e-rasul hai ye KHumar-e-baada-kashi nahin

tera nur nur-e-qadim hai teri zat zat-e-'azim hai

tu KHuda nahin to nahin sahi ye sifat bhi bashari nahin

tu nazar nazar se pilae ja meri mastiyon ko baDhae ja

tere dam-qadam ki hi KHair ho abhi pyas dil ki bujhi nahin

ye karam hai rabb-e-karim ka ki amin-e-maqsad-e-'ishq hun

tere aastan ke siwa kahin ye jabin-e-shauq jhuki nahin

Videos
This video is playing from YouTube

Videos
This video is playing from YouTube

Haji Mehboob Ali

Haji Mehboob Ali

This content features in following collection(s)

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now