baKHshish kahan hai sahib-e-quran tere baghair
baḳhshish kahāñ hai sāhib-e-qur.āñ tire baġhair
miltī nahīñ daulat-e-īmāñ tire baġhair
lāraib har bashar ne ye taslīm kar liyā
insāñ kabhī na ban sakā insāñ tire baġhair
kar ek baar rahmat-e-'ālam idhar nazar
hogī na duur gardish-e-daurāñ tire baġhair
kyā der hai barasne meñ abr-e-karam baras
dho.egā kaun dāman-e-’isyāñ tire baġhair
maiñ huuñ vo pur-gunāh ki mahshar meñ mere paas
koī nahīñ najāt kā sāmāñ tire baġhair
ab is ‘zahīr-e-mujrim-o-muhtāj kā koī
yaañ hai tire baġhair na kal vaañ tire baġhair
baKHshish kahan hai sahib-e-quran tere baghair
milti nahin daulat-e-iman tere baghair
laraib har bashar ne ye taslim kar liya
insan kabhi na ban saka insan tere baghair
kar ek bar rahmat-e-'alam idhar nazar
hogi na dur gardish-e-dauran tere baghair
kya der hai barasne mein abr-e-karam baras
dhoega kaun daman-e-’isyan tere baghair
main hun wo pur-gunah ki mahshar mein mere pas
koi nahin najat ka saman tere baghair
ab is ‘zahir-e-mujrim-o-muhtaj ka koi
yan hai tere baghair na kal wan tere baghair
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.