har dam KHayal-e-jaanan aankhon ke ru-ba-ru hai
har dam ḳhayāl-e-jānāñ āñkhoñ ke rū-ba-rū hai
dil meñ mere samā jā muddat se aarzū hai
mansūr bhī banāyā suulī pe bhī chaḌhāyā
ab mujh se pūchhte ho kyā terī aarzū hai
hindu bhī tere bande momin bhī tere bande
īmān kī jo pūchho īmān sab kā tū hai
nāqūs kī fuġhāñ meñ haañ namāz meñ azaañ meñ
terā hī tazkira hai terī hī guftugū hai
har dam KHayal-e-jaanan aankhon ke ru-ba-ru hai
dil mein mere sama ja muddat se aarzu hai
mansur bhi banaya suli pe bhi chaDhaya
ab mujh se puchhte ho kya teri aarzu hai
hindu bhi tere bande momin bhi tere bande
iman ki jo puchho iman sab ka tu hai
naqus ki fughan mein han namaz mein azan mein
tera hi tazkira hai teri hi guftugu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.