sana bashar ke liye hai bashar sana ke liye
sanā bashar ke liye hai bashar sanā ke liye
tamām hamd sazā-vār hai ḳhudā ke liye
'atā ke sāmne yā-rab ḳhatā kā zikr hī kyā
ki to 'atā ke liye hai bashar ḳhatā ke liye
tujhī se māñgne vaale murād paate haiñ
hai bārgāh terī shaah aur gadā ke liye
tere karam ne vahīñ aa ke dast-gīrī kī
gunahgāroñ ke jab haath uTThe du'ā ke liye
tere karam kā tere lutf kā hisāb hī kyā
tū dushmanoñ ke liye hai tū āshnā ke liye
vo rañg laa.ī hai rahmat terī sar-e-mahshar
ki be-ḳhatā bhī tarasne lage ḳhatā ke liye
khilā jo rañg sar-e-hashr terī rahmat kā
to be-gunāh bhī tarasne lage ḳhatā ke liye
nazar karam kī ho 'kaifī' ke haal par yā-rab
terī janāb meñ hāzir hai iltijā ke liye
sana bashar ke liye hai bashar sana ke liye
tamam hamd saza-war hai KHuda ke liye
'ata ke samne ya-rab KHata ka zikr hi kya
ki to 'ata ke liye hai bashar KHata ke liye
tujhi se mangne wale murad pate hain
hai bargah teri shah aur gada ke liye
tere karam ne wahin aa ke dast-giri ki
gunahgaron ke jab hath uTThe du'a ke liye
tere karam ka tere lutf ka hisab hi kya
tu dushmanon ke liye hai tu aashna ke liye
wo rang lai hai rahmat teri sar-e-mahshar
ki be-KHata bhi tarasne lage KHata ke liye
khila jo rang sar-e-hashr teri rahmat ka
to be-gunah bhi tarasne lage KHata ke liye
nazar karam ki ho 'kaifi' ke haal par ya-rab
teri janab mein hazir hai iltija ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.