chaar din ki faqat chandni hai chandni ka bharosa nahin hai
chaar din kī faqat chāñdnī hai chāñdnī kā bharosa nahīñ hai
is liye huuñ añdheroñ kā shaidā raushnī kā bharosa nahīñ hai
apne ghar ke diyoñ ko bujhā kar kyuuñ manātā hai nādāñ dīvālī
zindagī pe are marne vaale zindagī kā bharosa nahīñ hai
pahle ḳhud-dāriyāñ merī dekho phir jo chāho mujhe tum sazā do
dushmanī is liye kar rahā huuñ dostī kā bharosa nahīñ hai
jab bhī milte haiñ vā'iz se shākir zikr karte haiñ hūroñ kā vā'iz
aap kī to hameñ shaiḳh sāhib bandagī kā bharosa nahīñ hai
chaar din ki faqat chandni hai chandni ka bharosa nahin hai
is liye hun andheron ka shaida raushni ka bharosa nahin hai
apne ghar ke diyon ko bujha kar kyun manata hai nadan diwali
zindagi pe are marne wale zindagi ka bharosa nahin hai
pahle KHud-dariyan meri dekho phir jo chaho mujhe tum saza do
dushmani is liye kar raha hun dosti ka bharosa nahin hai
jab bhi milte hain wa'iz se shakir zikr karte hain huron ka wa'iz
aap ki to hamein shaiKH sahib bandagi ka bharosa nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.