kari hai dair mein wo sajda-rezi ’ain masti mein
karī hai dair meñ vo sajda-rezī ’ain mastī meñ
mujhe kāfir lage kahne musalmānoñ kī bastī meñ
nazar aatī nahīñ kuchh apnī hastī apnī hastī meñ
kuchh aisā kho gayā huuñ dil ke hāthoñ ḳhud-parastī meñ
jidhar jaatā huuñ mere sāmne but-ḳhāna aatā hai
mohabbat meñ kabhī Duube rahe dariyā-o-mastī meñ
bulandī par nazar aayā kabhī aayā vo pastī meñ
pukār uTThā vahī mansūr anal-haq josh-o-mastī meñ
kari hai dair mein wo sajda-rezi ’ain masti mein
mujhe kafir lage kahne musalmanon ki basti mein
nazar aati nahin kuchh apni hasti apni hasti mein
kuchh aisa kho gaya hun dil ke hathon KHud-parasti mein
jidhar jata hun mere samne but-KHana aata hai
mohabbat mein kabhi Dube rahe dariya-o-masti mein
bulandi par nazar aaya kabhi aaya wo pasti mein
pukar uTTha wahi mansur anal-haq josh-o-masti mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.