ye surur kaisa hai saqiya mujhe kya nazar se pila diya
ye surūr kaisā hai sāqiyā mujhe kyā nazar se pilā diyā
hai matā’-e-hosh luTī-luTī mujhe kyā tamāshā banā diyā
mere dil kī duniyā badal ga.ī maiñ nisār terī nigāh par
mujhe de ke tū ne surūr-e-ġham mujhe marnā jiinā sikhā diyā
merā 'ishq mahv-e-namāz hai mujhe ab kisī kī ḳhabar nahīñ
mere dil-rubā maiñ ne apnā sar ab tere dar pe jhukā diyā
maiñ terā asiir nazar rahūñ yahī mere dil kī hai aarzū
mujhe qaid kar ke mere sanam merā āshiyāñ jalā diyā
merā 'ishq hai dar-e-muztarib bā-ḳhudā niyāz-e-haram banā
mujhe jab se sūrat-e-yār ne dar-e-but-kada pe biThā diyā
ye dil-o-nigāh kī baat hai ye niyāz-o-nāz 'ajīb hai
rāh-e-'ishq meñ mujhe yaar ne ai fanā payām-e-baqā diyā
ye surur kaisa hai saqiya mujhe kya nazar se pila diya
hai mata’-e-hosh luTi-luTi mujhe kya tamasha bana diya
mere dil ki duniya badal gai main nisar teri nigah par
mujhe de ke tu ne surur-e-gham mujhe marna jina sikha diya
mera 'ishq mahw-e-namaz hai mujhe ab kisi ki KHabar nahin
mere dil-ruba main ne apna sar ab tere dar pe jhuka diya
main tera asir nazar rahun yahi mere dil ki hai aarzu
mujhe qaid kar ke mere sanam mera aashiyan jala diya
mera 'ishq hai dar-e-muztarib ba-KHuda niyaz-e-haram bana
mujhe jab se surat-e-yar ne dar-e-but-kada pe biTha diya
ye dil-o-nigah ki baat hai ye niyaz-o-naz 'ajib hai
rah-e-'ishq mein mujhe yar ne ai fana payam-e-baqa diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.