yaad aati hai jab teri mujhko sari duniya ko bhul jata hun
yaad aatī hai jab terī mujh ko saarī duniyā ko bhuul jaatā huuñ
dil nahīñ lagtā sahn-e-gulshan meñ terā vīrāna yaad aatā hai
log khāte haiñ jab vafā kī qasam choT sī dil pe ek lagtī hai
mar miTā jo vafā kī rāhoñ meñ vahī dīvāna yaad aatā hai
vo koī bad-nasīb hī hogā raushnī se nahīñ hai pyaar jise
ho gayā jo shahīd ulfat meñ vahī parvāna yaad aatā hai
ġhair samjhā jise 'farīdī' ne dostī ke vahī to qābil thā
apne sab ho ga.e parā.e jab vahī begāna yaad aatā hai
yaad aati hai jab teri mujh ko sari duniya ko bhul jata hun
dil nahin lagta sahn-e-gulshan mein tera virana yaad aata hai
log khate hain jab wafa ki qasam choT si dil pe ek lagti hai
mar miTa jo wafa ki rahon mein wahi diwana yaad aata hai
wo koi bad-nasib hi hoga raushni se nahin hai pyar jise
ho gaya jo shahid ulfat mein wahi parwana yaad aata hai
ghair samjha jise 'faridi' ne dosti ke wahi to qabil tha
apne sab ho gae parae jab wahi begana yaad aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.