nigah-e-yar mad-masti mein bhi hushiyar kaisi hai
nigāh-e-yār mad-mastī meñ bhī hushiyār kaisī hai
mirā dil chhīn lene ke liye tayyār kaisī hai
adā se pher kar ḳhanjar gale par yuuñ lage kahne
shahīd-e-nāz batlāo ki us meñ dhaar kaisī hai
jigar meñ chhā ga.ī pahlū meñ kis ke dil meñ jā taḌpī
ġhazab kī chulbulī chanchal nigāh-e-yār kaisī hai
abhī niklā hai dam Thahro kisī se mil to lene do
abhī se le ke chalne kī ye mārā-mār kaisī hai
vo ham ko zab.h karte haiñ ham hī se pūchhte haiñ yuuñ
zarā sāheb batā denā mirī talvār kaisī hai
qazā bhī sadqe hotī hai nigāh-e-tīr qātil ke
‘shahādat’ sar kaTāne ke liye tayyār kaisī hai
nigah-e-yar mad-masti mein bhi hushiyar kaisi hai
mera dil chhin lene ke liye tayyar kaisi hai
ada se pher kar KHanjar gale par yun lage kahne
shahid-e-naz batlao ki us mein dhaar kaisi hai
jigar mein chha gai pahlu mein kis ke dil mein ja taDpi
ghazab ki chulbuli chanchal nigah-e-yar kaisi hai
abhi nikla hai dam Thahro kisi se mil to lene do
abhi se le ke chalne ki ye mara-mar kaisi hai
wo hum ko zabh karte hain hum hi se puchhte hain yun
zara saheb bata dena meri talwar kaisi hai
qaza bhi sadqe hoti hai nigah-e-tir qatil ke
‘shahadat’ sar kaTane ke liye tayyar kaisi hai
- Book : Guldasta-e-Qawwali (Pg. 20)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.