ishq mein jab ki phansa dil haye dil afsos dil
'ishq meñ jab ki phañsā dil haaye dil afsos dil
dīn-o-duniyā se gayā dil haaye dil afsos dil
jā-ba-jā DhūñDā na dekhī us kī ḳhākistar kahīñ
kaisī ātish meñ jalā dil haaye dil afsos dil
kyā karūñ tadbīr ham se haaye begāna huā
vo qadīmī āshnā dil haaye dil afsos dil
dām-e-kon andar phañsā kyuuñ kis liye kis vāste
murġh-e-bāġh-e-kibriyā dil haaye dil afsos dil
vahm-e-bātil ġhair se kar saaf dil ko 'qādrī'
kyūñ-ki hai 'arsh-e-ḳhudā dil haaye dil afsos dil
'ishq mein jab ki phansa dil haye dil afsos dil
din-o-duniya se gaya dil haye dil afsos dil
ja-ba-ja DhunDa na dekhi us ki KHakistar kahin
kaisi aatish mein jala dil haye dil afsos dil
kya karun tadbir hum se haye begana hua
wo qadimi aashna dil haye dil afsos dil
dam-e-kon andar phansa kyun kis liye kis waste
murgh-e-bagh-e-kibriya dil haye dil afsos dil
wahm-e-baatil ghair se kar saf dil ko 'qadri'
kyun-ki hai 'arsh-e-KHuda dil haye dil afsos dil
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.