us ka zikr hai jari har ek sans ke andar
us kā zikr hai jaarī har ek saañs ke andar
ye mas.ala ab to pahchānūñ kyā ho jism ke andar
allāhu allāhu kahte dam nikaltā hai
be-shak haq kī ek tasvīr hai har saañs ke andar
aatī hai jaatī hai vo kaisā soñch kar dekho
hū aur hū kā nā'ra lagtā hai har ek saañs ke andar
alif meñ allāh laam meñ allāh mahsūs to kar lo
'ālim kī ye pahchān hai har saañs ke andar
zāhir karne ko to kar bhī dūñgā us 'irshād' ko
jo sābir paak kī hai justujū us saañs ke andar
us ka zikr hai jari har ek sans ke andar
ye masala ab to pahchanun kya ho jism ke andar
allahu allahu kahte dam nikalta hai
be-shak haq ki ek taswir hai har sans ke andar
aati hai jati hai wo kaisa sonch kar dekho
hu aur hu ka na'ra lagta hai har ek sans ke andar
alif mein allah lam mein allah mahsus to kar lo
'alim ki ye pahchan hai har sans ke andar
zahir karne ko to kar bhi dunga us 'irshad' ko
jo sabir pak ki hai justuju us sans ke andar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.