wahī merī kam-nasībī wahī terī be-niyāzī
vahī merī kam-nasībī vahī terī be-niyāzī
mire kaam kuchh na aayā ye kamāl-e-nai-navāzī
maiñ kahāñ huuñ tū kahāñ hai ye makāñ ki lā-makāñ hai
ye jahāñ mirā jahāñ hai ki tirī karishma-sāzī
isī kashmakash meñ guzrīñ mirī zindagī kī rāteñ
kabhī soz-o-sāz-e-'rūmī' kabhī pech-o-tāb-e-'rāzī'
vo fareb-ḳhurda shāhīñ ki palā ho kargasoñ meñ
use kyā ḳhabar ki kyā hai rah-o-rasm-e-shāhbāzī
na zabāñ koī ġhazal kī na zabāñ se bā-ḳhabar maiñ
koī dil-kushā sadā ho ajamī ho yā ki taazī
nahīñ faqr o saltanat meñ koī imtiyāz aisā
ye sipah kī teġh-bāzī vo nigah kī teġh-bāzī
koī kārvāñ se TuuTā koī bad-gumāñ haram se
ki amīr-e-kārvāñ meñ nahīñ ḳhū-e-dil-navāzī
wahī merī kam-nasībī wahī terī be-niyāzī
mere kaam kuchh na aayā ye kamāl-e-nai-nawāzī
maiñ kahāñ huñ tū kahāñ hai ye makāñ ki lā-makāñ hai
ye jahāñ mirā jahāñ hai ki tirī karishma-sāzī
isī kashmakash meñ guzrīñ mirī zindagī kī rāteñ
kabhī soz-o-sāz-e-'rūmī' kabhī pech-o-tāb-e-'rāzī'
wo fareb-ḳhurda shāhīñ ki palā ho kargasoñ meñ
use kyā ḳhabar ki kyā hai rah-o-rasm-e-shāhbāzī
na zabāñ koī ġhazal kī na zabāñ se bā-ḳhabar maiñ
koī dil-kushā sadā ho ajamī ho yā ki tazī
nahīñ faqr o saltanat meñ koī imtiyāz aisā
ye sipah kī teġh-bāzī wo nigah kī teġh-bāzī
koī kārwāñ se TuTā koī bad-gumāñ haram se
ki amīr-e-kārwāñ meñ nahīñ ḳhū-e-dil-nawāzī
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.