hanste hanste nain se tere bahi jo jal ki dhaara
hañste hañste nain se tere bahī jo jal kī dhārā
duniyā bolī aag lagegī TuuTā ek sitārā
kisī ne us ko motī jaanā samjhā koī añgārā
maiñ kyuuñ sochūñ tū hai pyārī yā hai jīvan pyārā
hañste hañste nain se tere bahī jo jal kī dhārā
raaj sinhāsan kisī ne paayā koī banā banjārā
baijū man bāvrāyā ban kar sukh meñ hai dukhiyārā
hañste hañste nain se tere bahī jo jal kī dhārā
jīvan jhiil kā Thahrā paanī jaa.e kidhar bechāra
dhyān meñ biite 'umariyā paa.e na man chhuTkārā
hañste-hañste hañste-gāte jīvan biite
hanste hanste nain se tere bahi jo jal ki dhaara
duniya boli aag lagegi TuTa ek sitara
kisi ne us ko moti jaana samjha koi angara
main kyun sochun tu hai pyari ya hai jiwan pyara
hanste hanste nain se tere bahi jo jal ki dhaara
raj sinhasan kisi ne paya koi bana banjara
baiju man bawraya ban kar sukh mein hai dukhiyara
hanste hanste nain se tere bahi jo jal ki dhaara
jiwan jhil ka Thahra pani jae kidhar bechaara
dhyan mein bite 'umariya pae na man chhuTkara
hanste-hanste hanste-gate jiwan bite
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.