dil mein naqsha teri aankhon ka khincha dekha hai
dil meñ naqshā terī āñkhoñ kā khiñchā dekhā hai
rañg mai-ḳhāna kā ka.aba meñ jamā dekhā hai
intisāb-e-kHum-e-mehrāb-o-kHum teġh na pūchho
ham ne maqtal meñ ḳhudā jalva-numā dekhā hai
dil meñ rañgīnī-e-’aks-e-ruḳh-e-gulfām na pūchh
ham ne har daaġh ko tasvīr-numā dekhā hai
ai 'valī' lazzat āzād qafas kyā jaano
nau giraftār ho tum ne abhī kyā dekhā hai
dil mein naqsha teri aankhon ka khincha dekha hai
rang mai-KHana ka kaba mein jama dekha hai
intisab-e-kHum-e-mehrab-o-kHum tegh na puchho
hum ne maqtal mein KHuda jalwa-numa dekha hai
dil mein rangini-e-’aks-e-ruKH-e-gulfam na puchh
hum ne har dagh ko taswir-numa dekha hai
ai 'wali' lazzat aazad qafas kya jaano
nau giraftar ho tum ne abhi kya dekha hai
- Book : Sakhi ri Doli mein hoja Sawaar (Pg. 27)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.