vo haTā rahe haiñ parda sar-e-bām chupke-chupke
maiñ nazāra kar rahā huuñ sar-e-shām chupke-chupke
ye jhukī-jhukī nigāheñ ye hasīñ-hasīñ ishāre
mujhe de rahe haiñ shāyad ye payām chupke-chupke
na dikhāo chalte-chalte yuuñ qadam-qadam pe shoḳhī
koī qatl ho rahā hai sar-e-'ām chupke-chupke
kabhī shoḳhiyāñ dikhānā kabhī un kā muskurānā
ye adā.eñ kar na Dāleñ merā kaam chupke chupke
zarā hoshiyār ai dil kahīñ Dhā na de qayāmat
is sadā-e-kāfirī kā ye salām chupke-chupke
ye jo hichkiyāñ musalsal mujhe aa rahī haiñ 'ālam'
koī le rahā hai shāyad merā naam chupke-chupke
wo haTa rahe hain parda sar-e-baam chupke-chupke
main nazara kar raha hun sar-e-sham chupke-chupke
ye jhuki-jhuki nigahen ye hasin-hasin ishaare
mujhe de rahe hain shayad ye payam chupke-chupke
na dikhao chalte-chalte yun qadam-qadam pe shoKHi
koi qatl ho raha hai sar-e-'am chupke-chupke
kabhi shoKHiyan dikhana kabhi un ka muskurana
ye adaen kar na Dalen merā kaam chupke chupke
zara hoshiyar ai dil kahin Dha na de qayamat
is sada-e-kafiri ka ye salam chupke-chupke
ye jo hichkiyan musalsal mujhe aa rahi hain 'alam'
koi le raha hai shayad mera nam chupke-chupke
Videos
This video is playing from YouTube
Nusrat Fateh Ali Khan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.