yar ko humne ja-ba-ja dekha
yaar ko ham ne jā-ba-jā dekhā
kahīñ zāhir kahīñ chhupā dekhā
kahīñ mumkin huā kahīñ vājib
kahīñ faanī kahīñ baqā dekhā
diid apne kī thī use ḳhvāhish
aap ko har tarah banā dekhā
sūrat-e-gul meñ khil-khilā ke hañsā
shakl-e-bulbul meñ chahchahā dekhā
sham.a ho kar ke aur parvāna
aap ko aap meñ jalā dekhā
kar ke da.avā kahīñ anal-haq kā
bar-sar-e-dār vah khiñchā dekhā
thā vah bartar shumā-o-mā se niyāz
phir vahī ab shumā-o-mā dekhā
kahīñ hai bādshāh-e-taḳht-nashīñ
kahīñ kaasa liye gadā dekhā
kahīñ aabid banā kahīñ zāhid
kahīñ rindoñ kā peshvā dekhā
kahīñ vah dar libās-e-ma.ashūqāñ
bar-sar-e-nāz aur adā dekhā
kahīñ āshiq 'niyāz' kī sūrat
sīna-e-bariyāñ-o-dil-jalā dekhā
yar ko hum ne ja-ba-ja dekha
kahin zahir kahin chhupa dekha
kahin mumkin hua kahin wajib
kahin fani kahin baqa dekha
did apne ki thi use KHwahish
aap ko har tarah bana dekha
surat-e-gul mein khil-khila ke hansa
shakl-e-bulbul mein chahchaha dekha
shama ho kar ke aur parwana
aap ko aap mein jala dekha
kar ke dawa kahin anal-haq ka
bar-sar-e-dar wah khincha dekha
tha wah bartar shuma-o-ma se niyaz
phir wahi ab shuma-o-ma dekha
kahin hai baadshah-e-taKHt-nashin
kahin kasa liye gada dekha
kahin aabid bana kahin zahid
kahin rindon ka peshwa dekha
kahin wah dar libas-e-mashuqan
bar-sar-e-naz aur ada dekha
kahin aashiq 'niyaz' ki surat
sina-e-bariyan-o-dil-jala dekha
- Book : Diwan-e-Niaz-e-Be-Niaz (Pg. 134)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.