yar tha gulzar tha mai thi faza thi main na tha
yar tha gulzar tha mai thi faza thi main na tha
Mirza Abul Muzaffar
MORE BYMirza Abul Muzaffar
yaar thā gulzār thā mai thī fazā thī maiñ na thā
lā.eq-e-pā-bos-e-jānāñ kyā hinā thī maiñ na thā
haath kyuuñ bāñdhe mire chhallā agar chorī gayā
ye sarāpā shoḳhī-e-duzd-e-hinā thī maiñ na thā
be-ḳhudī meñ le liyā bosa ḳhatā kiije muaaf
ye dil-e-betāb kī saarī ḳhatā thī maiñ na thā
haa.e saaqī ye ho sāmāñ aur āshiq vaañ na ho
yaar thā sabza thā badlī thī havā thī maiñ na thā
maiñ sisaktā rah gayā aur mar ga.e farhād-o-qais
kyā unhīñ donoñ ke hisse meñ qazā thī maiñ na thā
maiñ ne pūchhā kyā huā vo aap kā husn-o-shabāb
hañs ke bolā vo sanam shān-e-ḳhudā thī maiñ na thā
ai 'zafar' ye dil pa mere daaġh kaisā rah gayā
ḳhāna bāġh-e-yār meñ ḳhalq-e-ḳhudā thī maiñ na thā
yar tha gulzar tha mai thi faza thi main na tha
laeq-e-pa-bos-e-jaanan kya hina thi main na tha
hath kyun bandhe mere chhalla agar chori gaya
ye sarapa shoKHi-e-duzd-e-hina thi main na tha
be-KHudi mein le liya bosa KHata kije muaf
ye dil-e-betab ki sari KHata thi main na tha
hae saqi ye ho saman aur aashiq wan na ho
yar tha sabza tha badli thi hawa thi main na tha
main sisakta rah gaya aur mar gae farhad-o-qais
kya unhin donon ke hisse mein qaza thi main na tha
main ne puchha kya hua wo aap ka husn-o-shabab
hans ke bola wo sanam shan-e-KHuda thi main na tha
ai 'zafar' ye dil pa mere dagh kaisa rah gaya
KHana bagh-e-yar mein KHalq-e-KHuda thi main na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.