ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
Khwaja Haidar Ali Aatish
MORE BYKhwaja Haidar Ali Aatish
ye aarzū thī tujhe gul ke rū-ba-rū karte
ham aur bulbul-e-betāb guftugū karte
payāmbar na mayassar huā to ḳhuub huā
zabān-e-ġhair se kyā sharh-e-ārzū karte
mirī tarah se mah-o-mehr bhī haiñ āvāra
kisī habīb kī ye bhī haiñ justujū karte
hamesha rañg-e-zamāna badaltā rahtā hai
safed rañg haiñ āḳhir siyāh mū karte
luTāte daulat-e-duniyā ko mai-kade meñ ham
tilā.ī sāġhar-e-mai nuqra.ī subū karte
hamesha maiñ ne garebāñ ko chaak chaak kiyā
tamām umr rafūgar rahe rafū karte
jo dekhte tirī zanjīr-e-zulf kā aalam
asiir hone kī āzād aarzū karte
bayāz-e-gardan-e-jānāñ ko sub.h kahte jo ham
sitāra-e-saharī takma-e-gulū karte
ye ka.abe se nahīñ be-vaj.h nisbat-e-ruḳh-e-yār
ye be-sabab nahīñ murde ko qibla-rū karte
sikhāte nāla-e-shab-gīr ko dar-andāzī
ġham-e-firāq kā us charḳh ko adū karte
vo jān-e-jāñ nahīñ aatā to maut hī aatī
dil-o-jigar ko kahāñ tak bhalā lahū karte
na pūchh ālam-e-bargashta-tāla.ī 'ātish'
barastī aag jo bārāñ kī aarzū karte
ye aarzu thi tujhe gul ke ru-ba-ru karte
hum aur bulbul-e-betab guftugu karte
payambar na mayassar hua to KHub hua
zaban-e-ghair se kya sharh-e-arzu karte
meri tarah se mah-o-mehr bhi hain aawara
kisi habib ki ye bhi hain justuju karte
hamesha rang-e-zamana badalta rahta hai
safed rang hain aaKHir siyah mu karte
luTate daulat-e-duniya ko mai-kade mein hum
tilai saghar-e-mai nuqrai subu karte
hamesha main ne gareban ko chaak chaak kiya
tamam umr rafugar rahe rafu karte
jo dekhte teri zanjir-e-zulf ka aalam
asir hone ki aazad aarzu karte
bayaz-e-gardan-e-jaanan ko subh kahte jo hum
sitara-e-sahari takma-e-gulu karte
ye kabe se nahin be-wajh nisbat-e-ruKH-e-yar
ye be-sabab nahin murde ko qibla-ru karte
sikhate nala-e-shab-gir ko dar-andazi
gham-e-firaq ka us charKH ko adu karte
wo jaan-e-jaan nahin aata to maut hi aati
dil-o-jigar ko kahan tak bhala lahu karte
na puchh aalam-e-bargashta-talai 'atish'
barasti aag jo baran ki aarzu karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.