ye hum jo hijr meñ dīwār-o-dar ko dekhte haiñ
ye ham jo hijr meñ dīvār-o-dar ko dekhte haiñ
kabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
vo aa.e ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat hai
kabhī ham un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
nazar lage na kahīñ us ke dast-o-bāzū ko
ye log kyuuñ mire zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
tire javāhīr-e-turf-e-kulah ko kyā dekheñ
ham auj-e-tāla-e-lāl-o-gohar ko dekhte haiñ
ye hum jo hijr meñ dīwār-o-dar ko dekhte haiñ
kabhī sabā ko kabhī nāma-bar ko dekhte haiñ
wo aae ghar meñ hamāre ḳhudā kī qudrat hai
kabhī hum un ko kabhī apne ghar ko dekhte haiñ
nazar lage na kahīñ us ke dast-o-bāzū ko
ye log kyuñ mere zaḳhm-e-jigar ko dekhte haiñ
tere jawāhīr-e-turf-e-kulah ko kyā dekheñ
hum auj-e-tāla-e-lāl-o-gohar ko dekhte haiñ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.