Sufinama

ye na thī hamārī qismat ki wisāl-e-yār hotā

Mirza Ghalib

ye na thī hamārī qismat ki wisāl-e-yār hotā

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    ye na thī hamārī qismat ki visāl-e-yār hotā

    agar aur jiite rahte yahī intizār hotā

    tire va.ade par jiye ham to ye jaan jhuuT jaanā

    ki ḳhushī se mar na jaate agar e'tibār hotā

    tirī nāzukī se jaanā ki bañdhā thā ahd bodā

    kabhī na toḌ saktā agar ustuvār hotā

    koī mere dil se pūchhe tire tīr-e-nīm-kash ko

    ye ḳhalish kahāñ se hotī jo jigar ke paar hotā

    ye kahāñ dostī hai ki bane haiñ dost nāseh

    koī chārasāz hotā koī ġham-gusār hotā

    rag-e-sañg se Tapaktā vo lahū ki phir na thamtā

    jise ġham samajh rahe ho ye agar sharār hotā

    ġham agarche jāñ-gusil hai pa kahāñ bacheñ ki dil hai

    ġham-e-ishq gar na hotā ġham-e-rozgār hotā

    kahūñ kis se maiñ ki kyā hai shab-e-ġham burī balā hai

    mujhe kyā burā thā marnā agar ek baar hotā

    hue mar ke ham jo rusvā hue kyuuñ na ġharq-e-dariyā

    na kabhī janāza uThtā na kahīñ mazār hotā

    use kaun dekh saktā ki yagāna hai vo yaktā

    jo duī bhī hotī to kahīñ do-chār hotā

    ye masā.il-e-tasavvuf ye tirā bayān 'ġhālib'

    tujhe ham valī samajhte jo na bāda-ḳhvār hotā

    ye na thī hamārī qismat ki wisāl-e-yār hotā

    agar aur jite rahte yahī intizār hotā

    tere wade par jiye hum to ye jaan jhuT jaanā

    ki ḳhushī se mar na jate agar e'tibār hotā

    tirī nāzukī se jaanā ki bañdhā thā ahd bodā

    kabhī na toḌ saktā agar ustuwār hotā

    koī mere dil se pūchhe tere tīr-e-nīm-kash ko

    ye ḳhalish kahāñ se hotī jo jigar ke par hotā

    ye kahāñ dostī hai ki bane haiñ dost nāseh

    koī chārasāz hotā koī ġham-gusār hotā

    rag-e-sañg se Tapaktā wo lahū ki phir na thamtā

    jise ġham samajh rahe ho ye agar sharār hotā

    ġham agarche jāñ-gusil hai pa kahāñ bacheñ ki dil hai

    ġham-e-ishq gar na hotā ġham-e-rozgār hotā

    kahūñ kis se maiñ ki kyā hai shab-e-ġham burī balā hai

    mujhe kyā burā thā marnā agar ek bar hotā

    hue mar ke hum jo ruswā hue kyuñ na ġharq-e-dariyā

    na kabhī janāza uThtā na kahīñ mazār hotā

    use kaun dekh saktā ki yagāna hai wo yaktā

    jo duī bhī hotī to kahīñ do-chār hotā

    ye masāil-e-tasawwuf ye tirā bayān 'ġhālib'

    tujhe hum walī samajhte jo na bāda-ḳhwār hotā

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Abida Parveen

    Abida Parveen

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now