jis ko marna nahin aata wahi mar jata hai
jis ko marnā nahīñ aatā vahī mar jaatā hai
tum pe martā hai vo marne se guzar jaatā hai
'ishq jis raah meñ be-ḳhauf-o-ḳhatar jaatā hai
'aql vaalā to use dekh ke Dar jaatā hai
dil kī maujoñ ke havāle hai safīna dil kā
dil ko ḳhud bhī nahīñ ma'alūm kidhar jaatā hai
'ālam-e-'ishq meñ ham ne to ye dekhā hai 'zahīn'
koī kitnā hī bigaḌ jaa.e sañvar jaatā hai
jis ko marna nahin aata wahi mar jata hai
tum pe marta hai wo marne se guzar jata hai
'ishq jis rah mein be-KHauf-o-KHatar jata hai
'aql wala to use dekh ke Dar jata hai
dil ki maujon ke hawale hai safina dil ka
dil ko KHud bhi nahin ma'alum kidhar jata hai
'alam-e-'ishq mein hum ne to ye dekha hai 'zahin'
koi kitna hi bigaD jae sanwar jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.