tu mard hai aafaqi gar shan hai shabbiri
Interesting Fact
مرقومہ 1944ء
tū mard hai āfāqī gar shaan hai shabbīrī
gar shaan hai shabbīrī hai faqr bhī sad merī
ik faqr hai muhtāj ik faqr ḳhud-āgāhī
ik faqr saḳhā-gīrī ik faqr jahāñgīrī
man hai jo tire bas meñ aur tan hai tire bas meñ
ye daulat-e-sarmad hai ye faqr bhī hai merī
dushvārī-e-manzil ke har ḳhauf ko Thukrā de
bebāk ’azā.em meñ paidā hai jahāñgīrī
tāsīr-e-sharāb nau aa tujh ko dikhā.ūñ maiñ
sheroñ kī tabī'at meñ paidā.ī huī nakHchīrī
tahzīb-e-farañgī ke afsūñ kā ye 'ālam hai
maġhrib huā zindīqī mashriq huā zanjīrī
ai 'aql faromāya anjām tirā dekhā
har shaḳhs hai fariyādī har baat hai tā’zīrī
ik daulat-e-qārūnī ik dām-e-havasnākī
sad zillat-e-āzādī sad nuqs-e-jahāñgīrī
har gosha-e-fitrat hai raushan mirī nazroñ meñ
ik faqr kā 'ālam hai ye merī hama-gīrī
duniyā-e-shahanshah se duniyā-e-faqīr aulā
behtar hai ḳhazānoñ se ik daulat-e-shabbīrī
ai 'tāj' faqīroñ ko aatī nahīñ barbādī
be-zarbat-e-chañgezī karte haiñ jahāñgīrī
tu mard hai aafaqi gar shan hai shabbiri
gar shan hai shabbiri hai faqr bhi sad meri
ek faqr hai muhtaj ek faqr KHud-agahi
ek faqr saKHa-giri ek faqr jahangiri
man hai jo tere bas mein aur tan hai tere bas mein
ye daulat-e-sarmad hai ye faqr bhi hai meri
dushwari-e-manzil ke har KHauf ko Thukra de
bebak ’azaem mein paida hai jahangiri
tasir-e-sharab nau aa tujh ko dikhaun main
sheron ki tabi'at mein paidai hui nakHchiri
tahzib-e-farangi ke afsun ka ye 'alam hai
maghrib hua zindiqi mashriq hua zanjiri
ai 'aql faromaya anjam tera dekha
har shaKHs hai fariyaadi har baat hai ta’ziri
ek daulat-e-qaruni ek dam-e-hawasnaki
sad zillat-e-azadi sad nuqs-e-jahangiri
har gosha-e-fitrat hai raushan meri nazron mein
ek faqr ka 'alam hai ye meri hama-giri
duniya-e-shahanshah se duniya-e-faqir aula
behtar hai KHazanon se ek daulat-e-shabbiri
ai 'taj' faqiron ko aati nahin barbaadi
be-zarbat-e-changezi karte hain jahangiri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.