zulf ruḳh se haTā ke baat karo
raat ko din banā ke baat karo
mai-kade ke charāġh maddham haiñ
zarā āñkheñ uThā ke baat karo
phuul kuchh chāhiye huzūr hameñ
tum zarā muskurā ke baat karo
ye bhī andāz-e-guftugū hai koī
jab karo dil dukhā ke baat karo
zulf ruKH se haTa ke baat karo
raat ko din bana ke baat karo
mai-kade ke charagh maddham hain
zara aankhen uTha ke baat karo
phul kuchh chahiye huzur hamein
tum zara muskura ke baat karo
ye bhi andaz-e-guftugu hai koi
jab karo dil dukha ke baat karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.