mathuraa baasii ka.nvar kanhaiyaa mohan pyaare bansii dhaarii

Aughat Shah Warsi
MORE BYAughat Shah Warsi
mathuraa baasii ka.nvar kanhaiyaa mohan pyaare bansii dhaarii
janm ke raaja sundar chahelaa mor kushaa.ii.n shaam bihaarii
baa.nkii saj-dhaj ThaaTh anokhe chanchal chaal pyaarii batiyaa.n
saa.nvlii suurat me.n rasiile tirchhii chitvan jhal-bal nyaari
sab ke saajan jag ke daataa big.De kaaj sa.nvaran-haare
saa.ii.n morii jhorii bhar de tor dvaare Thaa.D bhikaarii
ahmad ban ke dharam bataayo haidar ThaaTh me.n zor dikhaayo
karbal me.n KHud piit jataayo maar liyo tum aap kaTaarii
vaaris ruup kiyo jab raajaa devaa nagrii aan basaayo
guru bane aas bolat jag me.n tumrii je sab nar-naarii
agham samandar naav na be.Daa rain a.ndherii baaT na jaanii
vaaris daataa aan bachaa.o 'aughaT' raakhe aas tumhaarii

- Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 28)
- Author : Aughat Shah Warsi
- Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.