ka.aba kaashii masjid mandir kaaran the sab uljhan ke

Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
ka.aba kaashii masjid mandir kaaran the sab uljhan ke
prem se uljhan duur hu.ii hai band khule hai.n bandhan ke
krishn-kanhaiyaa aan biraaje more man ke mandir me.n
bhagvan more saath hai ab to dvaar khule hai.n darpan ke
kab se maayaa jaal me.n pha.ns kar ta.Dpat thii mai.n raato.n ko
piir ne muktii moko dilaa.ii jaage bhaag abhaagan ke
piir hii moraa bhagvan hai aur piir hii moraa an-daataa
bal-bal jaa۔uu.n piir ke apne parde khule hai.n nainan ke
saamne ab hai kirshn-muraarii saamne hai ab raam-rahiim
kahat hai.n 'kaavish' sun bha.ii saadho ruup hai.n ye sab bhagvan ke

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.