Font by Mehr Nastaliq Web

hai.n nabiyo.n ke jo taajvar mustafaa

Aabid Qadri

hai.n nabiyo.n ke jo taajvar mustafaa

Aabid Qadri

MORE BYAabid Qadri

    hai.n nabiyo.n ke jo taajvar mustafaa

    hai.n rasuulo.n me.n bhii muftaKHar mustafaa

    ab ye armaan hai KHaas kar mustafaa

    ho.n madiine me.n shaam-o-sahar mustafaa

    vaise aane ko aa.e ka.ii ambiyaa

    aap aa.e ba-shaan-e-digar mustafaa

    aap yaasiin-o-taahaa mudassir bhii hai.n

    har laqab aap kaa mo'atabar mustafaa

    kul KHudaa.ii hai zer-e-nagii.n aap ke

    aap kaunain me.n muqtadir mustafaa

    hai.n mashiyyat pe nazre.n huzuur aap kii

    kaun aisaa hu.aa diida-var mustafaa

    aap ne dii hai fikr-o-nazar ko jilaa

    aap hii se hai fikr-o-nazar mustafaa

    aap to 'arsh-e-a'azam talak aa ga.e

    hai kahaa.n aap kaa raahbar mustafaa

    sabz-gumbad kaa har ik nazaara huzuur

    hai haqiiqat me.n jannat-nazar mustafaa

    aaj bhii hai.n jo peshii me.n sarkaar kii

    yaa to siddiiq hai.n yaa 'umar mustafaa

    ham bhaTaknaa bhii chaahe.n to bhaTke.nge kyaa

    paak usva hai jab raahbar mustafaa

    aap se lii hai ham ne hidaayat huzuur

    ab na bhaTke.nge ham 'umr-bhar mustafaa

    the vo naadiida 'aashiq huzuur aap ke

    ik uvais-e-qaran diida-var mustafaa

    hai ye 'aabid' bhii muhtaaj lutf-o-karam

    Daal diijiye karam kii nazar mustafaa

    hai.n nabiyo.n ke jo taajvar mustafaa

    hai.n rasuulo.n me.n bhii muftaKHar mustafaa

    ab ye armaan hai KHaas kar mustafaa

    ho.n madiine me.n shaam-o-sahar mustafaa

    vaise aane ko aa.e ka.ii ambiyaa

    aap aa.e ba-shaan-e-digar mustafaa

    aap yaasiin-o-taahaa mudassir bhii hai.n

    har laqab aap kaa mo'atabar mustafaa

    kul KHudaa.ii hai zer-e-nagii.n aap ke

    aap kaunain me.n muqtadir mustafaa

    hai.n mashiyyat pe nazre.n huzuur aap kii

    kaun aisaa hu.aa diida-var mustafaa

    aap ne dii hai fikr-o-nazar ko jilaa

    aap hii se hai fikr-o-nazar mustafaa

    aap to 'arsh-e-a'azam talak aa ga.e

    hai kahaa.n aap kaa raahbar mustafaa

    sabz-gumbad kaa har ik nazaara huzuur

    hai haqiiqat me.n jannat-nazar mustafaa

    aaj bhii hai.n jo peshii me.n sarkaar kii

    yaa to siddiiq hai.n yaa 'umar mustafaa

    ham bhaTaknaa bhii chaahe.n to bhaTke.nge kyaa

    paak usva hai jab raahbar mustafaa

    aap se lii hai ham ne hidaayat huzuur

    ab na bhaTke.nge ham 'umr-bhar mustafaa

    the vo naadiida 'aashiq huzuur aap ke

    ik uvais-e-qaran diida-var mustafaa

    hai ye 'aabid' bhii muhtaaj lutf-o-karam

    Daal diijiye karam kii nazar mustafaa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now