ghanghor musiibat kii ghaTaa chhaa.ii thii sar par

ham kaasa-e-ummiid liye aa ga.e dar par
kyaa KHauf hame.n Gam kii ka.Dii dhuup kaa maulaa
saaya rahe rahmat kaa agar raah-guzar par
naadim huu.n gunaaho.n pe mujhe baKHsh de.n sarkaar
aa.ii huu.n nadaamat kii ridaa o.Dh kar sar par
kyaa shaan tire rauza kii sarkaar-e-do-'aalam
qurbaan mirii jaan ho diivaaro.n pe dar par
iimaan se pur-nuur kiyaa aap ne har dil
bhaTke hu.e qadmo.n ko bhii le aa.e Dagar par
lillaah bulaa liijiye ab rauza pe mujh ko
lillaah kare.n rahm mire diida-e-tar par
kyaa 'aarzuu' kuchh she'r kahe naa't ke tum ne
jannat kaa saa maahaul nazar aataa hai ghar par

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.