apne me.n dikhaataa hai jo allaah kaa jalva ajmer kaa KHvaaja

Aashiq Hyderabadi
MORE BYAashiq Hyderabadi
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
apne me.n dikhaataa hai jo allaah kaa jalva ajmer kaa KHvaaja
maujuud hu.aa ban ke mohammad kaa saraapaa ajmer kaa KHvaaja
tanziih se tashbiih me.n pahu.nchaa hai jo aa kar vo sirr-e-mazhar
kahlaataa hai maKHluuq-e-jahaa.n me.n vahii bandaa ajmer kaa KHvaaja
mauj aur hubaab aap hii bantaa hai jo saaf aab kasrat me.n hai girdaab
vahdat ke ahaata me.n nazar aayaa hai dariyaa ajmer kaa KHvaaja
jo kuchh hai ye hai us kaa nahii.n ko.ii bhii ham-sar ye apnaa hai rahbar
laa-saanii-o-be-misl hai aur arfa'a-o-a'alaa ajmer kaa KHvaaja
jo zaat KHudaa kii hai mohammad kii sifat me.n sab Gaur se samjhe.n
ahmad kii haqiiqat hii kaa mutlaq hai nazaaraa ajmer kaa KHvaaja
hind aur dakan me.n hai faqat us kaa hii faizaan ye apnaa hai iimaan
paiGaambar-e-hind hai ye piir hamaaraa ajmer kaa KHvaaja
bat.haa ko tavaaf us ke jo gumbad kaa hai haasil ye kahte hai.n 'kaamil'
hind aur dakan me.n hai yahii qibla-o-kaa'ba ajmer kaa KHvaaja
hind aur dakan us kii vilaayat se hai aabaad hai silsila-e-iijaad
'aalam me.n ravaa.n kar gayaa KHud apnaa tariiqa ajmer kaa KHvaaja
ye mulak kaa apne hai ba.Daa ek shahanshaah sab us kii hai paagaah
rakhtaa hai zamaana me.n sulaimaan kaa saa rutbaa ajmer kaa KHvaaja
annaasu 'alaa diinin se hai haasil ye hii matlab banda huu.n mai.n vo rab
mai.n taabe.a-e-farmaa.n huu.n hai mutlaq miraa maulaa ajmer kaa KHvaaja
har ek nafas us kii taraf hai jo miraa dhyaan taa.at kaa hai saamaan
KHud abru.o.n se rakhtaa hai mahraab haram kaa ajmer kaa KHvaaja
hai chisth kaa baazaar bahut garm hamesha aisaa nahii.n dekhaa
bai'at jo kii ab kHuub miraa ban gayaa saudaa ajmer kaa KHvaaja
hai chisth kii aatish ye bahut tiir-e-azal se muusaa se samajh le
KHurshiid se vo chand banaa tuur kaa sho'ala ajmer kaa KHvaaja
me.n mard muvahhid huu.n ki yaksaa.n hai.n sabhii yahaa.n gar 'ishq hai pahchaan
ghuu.nghaT me.n vo mahbuub hai rakhtaa nahii.n parvaa ajmer kaa KHvaaja
ye ramz hai baariik samajh le tu mirii baat rah fikr me.n din raat
rakhtaa hai 'ajiib bhed ye diida na shuniida ajmer kaa KHvaaja
hargiz nahii.n shaa.ir saa Guluu mere suKHan me.n shaa.eq jo ho dekhe.n
'ushshaaq kii nisbat ke liye piir hai yaktaa ajmer kaa KHvaaja
sau jaan se hotaa huu.n fidaa qadmo.n pe us ke kahtaa huu.n ye dil se
'aashiq jo banaa huu.n mai.n vo mahbuub hai meraa ajmer kaa KHvaaja

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.