aisaa ko.ii mahbuub na hogaa na kahii.n hai

baiThaa hai chataa.ii pe magar 'arsh-nashii.n hai
miltaa nahii.n kyaa-kyaa do-jahaa.n ko tire dar se
ik lafz nahii.n hai ki tire lab pe nahii.n hai
tuu chaahe to har shab ho misaal-e-shab-e-asraa
tere liye do-chaar qadam 'arsh-e-barii.n hai
rukte hai.n vahii.n jaa ke qadam ahl-e-nazar ke
us kuuche ke aage na zamaa.n hai na zamii.n hai
har ik ko mayassar kahaa.n us dar kii Gulaamii
us dar kaa to darbaan bhii jibriil-e-amii.n hai
dil girya-kunaa.n aur nazar suu-e-madiina
'aazam' tiraa andaaz-e-talab kitnaa hasii.n hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.