Font by Mehr Nastaliq Web

ilaahii vo zabaa.n de jo sanaa-KHvaan-e-mohammad ho

Abdul Aleem Meerathi

MORE BYAbdul Aleem Meerathi

    ilaahii vo zabaa.n de jo sanaa-KHvaan-e-mohammad ho

    sanaa aisii jo har aa.iina shaayaa.n mohammad ho

    vo jaan-e-paak de yaa rab jo qurbaan-e-mohammad ho

    vo dil de jo shikaar-e-tiir-e-mizhgaan-e-mohammad ho

    junuun-e-’ishq-o-garmaa garmii-e-soz-e-mohabbat se

    ye aavaara ho aur dasht-o-bayaabaan-e-mohammad ho

    sharaab-e-shauq se labrez ho paimaana-e-ulfat

    nigaar-e-husn ho mai.n huu.n kHiyaabaan-e-mohammad ho

    maqaam-e-lii ma.allaah tak bhalaa kis kii rasaa.ii ho

    jab us kHalvat-kada me.n kHaas jaanaan-e-mohammad ho

    badal jaa.e shab-e-baKHt-e-siyah sub.h-e-dil-aaraa se

    agar jalva-numaa ruu-e-daraKHshaan-e-mohammad ho

    ’aliim-e-kHasta-jaa.n ta.ng aa gayaa hai dard-e-hijraa.n se

    ilaahii kab vo din aa.e ki mehmaan-e-mohammad ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now