bhulaa duu.n kaise ehsaan-e-mohammad
bhulaa duu.n kaise ehsaan-e-mohammad
raqam hai dil pe farmaan-e-mohammad
pa.Dho dil se namaaz-e-panj-gaana
yahii hai pahlaa e’laan-e-mohammad
agar jannat me.n jaanaa chaahte ho
paka.D lo ba.Dh ke daamaan-e-mohammad
madad kar ai KHudaa likhne me.n merii
chunaa hai mai.n ne 'unvaan-e-mohammad
sitaare chaa.nd suuraj phuul kaliyaa.n
milaa hai sab ko faizaan-e-mohammad
bulandii par sitaare hai.n unhii.n ke
jinhe.n haasil hai ’irfaan-e-mohammad
shahanshaahii hai un ke Thokaro.n me.n
jo daanish hai.n Gulaamaan-e-mohammad
bhulaa duu.n kaise ehsaan-e-mohammad
raqam hai dil pe farmaan-e-mohammad
pa.Dho dil se namaaz-e-panj-gaana
yahii hai pahlaa e’laan-e-mohammad
agar jannat me.n jaanaa chaahte ho
paka.D lo ba.Dh ke daamaan-e-mohammad
madad kar ai KHudaa likhne me.n merii
chunaa hai mai.n ne 'unvaan-e-mohammad
sitaare chaa.nd suuraj phuul kaliyaa.n
milaa hai sab ko faizaan-e-mohammad
bulandii par sitaare hai.n unhii.n ke
jinhe.n haasil hai ’irfaan-e-mohammad
shahanshaahii hai un ke Thokaro.n me.n
jo daanish hai.n Gulaamaan-e-mohammad
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 130)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.