madiine vaale kaa jo bhii Gulaam ho jaaye

qasam KHudaa kii vo 'aalii maqaam ho jaaye
nabii ke 'ishq kaa jis dil me.n nuur raushan ho
to us pe aatish-e-dozaKH haraam ho jaaye
jhukaanaa chaahe jo qadmo.n me.n baadshaahii ko
gadaa-e-kuucha-e-kHairul-anaam ho jaa.e
labo.n pe muhr-e-adab ho nabii kii chaukhaT ho
nazar nazar me.n salaam-o-payaam ho jaa.e
nabii ke dam se hai dono.n jahaa.n me.n dam baaqii
ye dam na ho to qissa tamaam ho jaaye
ye mahfil-e-shah-e-laulaak hai ai diivaano.n
zaraa adab se daruud-o-salaam ho jaa.e
milii hai mujh ko hayaat-e-davaam samjhuu.ngaa
jo sub.h-e-ziist kii taiba me.n shaam ho jaaye
madiine vaale ye hai aarzuu 'niyaazii' kii
ki chand roz madiine qiyaam ho jaa.e

- Book : Kulliyat-e-Niazi (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.