jab se un kii nazar ho ga.ii
jab se un kii nazar ho ga.ii
zindagii be-KHatar ho ga.ii
jab fidaa diin par ho ga.ii
nuur zaat-e-'umr ho ga.ii
ho mubaarak haliima tirii
muflisii taajvar ho ga.ii
guzre jis raah se mustafaa
KHushbu.o.n se vo tar ho ga.ii
siirat-e-paak sarkaar kii
KHalq kii raahbar ho ga.ii
mere sarkaar ke faiz se
har KHushii ham-safar ho ga.ii
dil me.n 'afzal' tumhaar hai kyaa
mustafaa ko KHabar ho ga.ii
jab se un kii nazar ho ga.ii
zindagii be-KHatar ho ga.ii
jab fidaa diin par ho ga.ii
nuur zaat-e-'umr ho ga.ii
ho mubaarak haliima tirii
muflisii taajvar ho ga.ii
guzre jis raah se mustafaa
KHushbu.o.n se vo tar ho ga.ii
siirat-e-paak sarkaar kii
KHalq kii raahbar ho ga.ii
mere sarkaar ke faiz se
har KHushii ham-safar ho ga.ii
dil me.n 'afzal' tumhaar hai kyaa
mustafaa ko KHabar ho ga.ii
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 246)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.