miraa dil hai mahv-e-jamaal-e-mohammad
miraa dil hai mahv-e-jamaal-e-mohammad
visaal-e-KHudaa hai visaal-e-mohammad
yahii kah rahaa hai miraa dil 'aziizo
KHayaal-e-KHudaa hai KHayaal-e-mohammad
na the jinn-o-insaa.n zamii.n aasmaa.n jab
hu.aa hai zuhuur-e-jamaal-e-mohammad
dil-e-murda hote hai.n ik dam me.n zinda
hai mo.ajiz bayaa.n kyaa maqaal-e-mohammad
sivaa zikr-e-lailaa ke majnuu.n banaa dil
sunaa de ko.ii mujh ko haal-e-mohammad
hu.aa huu.n mai.n ai 'sahv' sau jaan-o-dil se
fidaa-e-mohammad-o-aal-e-mohammad

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.