Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

vo kamaal-e-husn-e-huzuur hai ki gumaan-e-nuqs-e-jahaa.n nahii.n

Ahmad Raza Khan

MORE BYAhmad Raza Khan

    vo kamaal-e-husn-e-huzuur hai ki gumaan-e-nuqs-e-jahaa.n nahii.n

    yahi phuul KHaar se duur hai yahi sham.a hai ki dhu.aa.n nahii.n

    do-jahaa.n kii behtariyaa.n nahii.n ki amaani-e-dil-o-jaa.n nahii.n

    kaho kyaa hai vo jo ya.nh nahii. magar ik nahii.n ki vahaa.n nahii.n

    me.n nisaar tere kalaam par milii yuu.n to kis kii zabaa.n nahii.

    vo suKHan hai jis me.n suKHan na ho vo bayaa.n hai jis kaa bayaa.n nahii.n

    ba-KHudaa KHudaa kaa yahii hai dar nahii.n aur ko.ii mafar maqarr

    jo vahaa.n se buu yahii.n aa ke ho jo ya.nh nahii.n to vahaa.n nahii.n

    kare mustafaa kii ihaanate.n khule bando.n us pe ye jur.ate.n

    ki mai.n kyaa nahii.n huu.n mohammadii are haa.n nahii.n are haa.n nahii.n

    tere aage yuu.n mai.n dabe luchche fushaa arab ke ba.De ba.De

    ko.ii jaane mu.nh me.n zabaa.n nahii.n nahii.n balki jis me.n jaa.n nahii.n

    vo sharf ki qat.a hai.n nisbate.n vo karam ki sab se qariib hai.n

    ko.ii kah do yaas-o-umiid se vo kahii.n nahii.n vo kahaa.n nahii.n

    ye nahii.n ki KHuld na niko vo niko.ii kii bhii hai aabruu

    magar ai madiina kii aarzuu jise chaahe tuu vo samaa.n nahii.n

    hai unhii.n ke nuur se sab ayaa.n hai unhii.n ke jalva me.n sab nihaa.n

    bane subh-e-taabish mehar se rahe pesh-e-mehar ye jaa.n nahii.n

    vahii nuur-e-haq vahii zill-e-rab hai unhii.n se sab hai unhii.n kaa sab

    nahii.n un kii milk me.n aasmaa.n ki zamii.n nahii.n ki zamaa.n nahii.n

    vahii laa-makaa.n ke makii.n hu.e sar-e-arsh taKHt-nashii.n hu.e

    vo nabii hai jis ke hai.n ye makaa.n vo KHudaa hai jis kaa makaa.n nahii.n

    sar-e-’arsh par hai tirii guzar dil-e-farsh par hai tirii nazar

    malakuut-o-malak me.n ko.ii shai nahii.n vo jo tujh pe ayaa.n nahii.n

    karuu.n tere naam pe jaa.n fidaa na bas ek jaa.n do-jahaa.n fidaa

    do-jahaa.n se bhii nahii.n jii bharaa karuu.n kyaa karuu.n ki jahaa.n nahii.n

    tiraa qadr to naadir-e-dahr hai ko.ii misl ho to misaal de

    nahii.n gul ke paudo.n me.n Daaliyaa.n ki chaman me.n sarv-e-chamaa.n nahii.n

    nahii.n jis ke ra.ng kaa duusraa na to ho ko.ii na kabhii hu.aa

    kaho us ko gul kahe kyaa nabii ki gulo.n kaa Dher kahaa.n nahii.n

    karuu.n mad.h ahl-e-dil 'razaa' pa.De is balaa me.n mirii balaa

    mai.n gadaa huu.n apne kariim kaa miraa diin paara-e-naa.n nahii.n

    Source :
    • Book : Hadaeq-e-Bakhshish (Pg. 45)
    • Author : Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now