Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

kyaa hii zauq-afzaa shafaa'at hai tumhaarii vaah vaah

Ahmad Raza Khan

MORE BYAhmad Raza Khan

    kyaa hii zauq-afzaa shafaa'at hai tumhaarii vaah vaah

    qarz letii hai gunaa parhez-gaarii vaah vaah

    KHaama-e-qudrat kaa husn-e-dast-kaarii vaah vaah

    kyaa hii tasviir apne pyaare kii sa.nvaarii vaah vaah

    ashk shab bhar intizaar-e-'afvuu ummat me.n bahe.n

    mai.n fidaa chaa.nd aur yuu.n aKHtar shumaarii vaah vaah

    u.ngliyaa.n hai.n faiz par TuuTe hai.n pyaase jhuum kar

    naddiyaa.n punjab-e-rahmat kii hai.n jaarii vaah vaah

    nuur kii KHairaat lene dau.Dte hai.n mehr-o-maah

    uThtii hai kis shaan se gird-e-savaarii vaah vaah

    niim jalve kii na taab aa.e qamar saa.n to sahii

    mehar aur un talvao.n kii aa.iina-daarii vaah vaah

    nafs ye kyaa zulm hai jab dekho taaza jurm hai

    naa-tavaa.n ke sar pe itnaa bojh bhaarii vaah vaah

    kyaa madiina se sabaa aa.ii ki phuulo.n me.n hai aaj

    kuchh na.ii buu bhiinii-bhiinii pyaarii-pyaarii vaah vaah

    is taraf rauza kaa nuur us samt mimbar kii bahaar

    biich me.n jannat kii pyaarii-pyaarii kyaarii vaah vaah

    paaraa-e-dil bhii na niklaa dil se tohfe me.n 'razaa'

    un sagaan-e-kuu se itnii jaan pyaarii vaah vaah

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now