Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

nabii sarvar-e-har-rasuul-o-valii hai

Ahmad Raza Khan

nabii sarvar-e-har-rasuul-o-valii hai

Ahmad Raza Khan

MORE BYAhmad Raza Khan

    nabii sarvar-e-har-rasuul-o-valii hai

    nabii raazdaar-e-ma'a-allaahi-lii hai

    vo naamii ki naam-e-KHudaa naam teraa

    ra.uuf-o-rahiim-o-’aliim-o-’alii hai

    hai betaab jis ke liye 'arsh-e-aa'zam

    vo us rahrav-e-laa-makaa.n kii galii hai

    nakiirain karte hai.n taa'ziim merii

    fidaa ho ke tujh par ye 'izzat milii hai

    talaatum hai kashtii pe tuufaan-e-Gam kaa

    ye kaisii havaa-e-muKHaalif chalii hai

    na kyuu.n kar kahuu.n yaa habiibii aGisnii

    usii naam se har musiibat Talii hai

    sabaa hai mujhe sarsar-e-dasht-e-taiba

    usii se kalii mere dil kii khilii hai

    tire chaaro.n hamdam hai.n yak-jaan yak-dil

    abuu-bakr faaruuq 'usmaa.n 'alii hai

    KHudaa ne kiyaa tujh ko aagaah sab se

    do 'aalam me.n jo kuchh kHafii-o-jalii hai

    karuu.n 'arz kyaa tujh se ai 'aalamussir

    ki tujh par mirii haalat-e-dil kii khulii hai

    tamannaa hai farmaa.iye roz-e-mahshar

    ye terii rihaa.ii kii chhuTTii milii hai

    jo maqsad ziyaarat kaa bar aa.e phir to

    na kuchh qasd kiije ye qasd-e-dilii hai

    tire dar kaa darbaa.n hai jibriil-e-aa'zam

    tiraa mad.h-KHvaa.n har nabii-o-valii hai

    shafaa'at kare hashr me.n jo 'razaa' kii

    sivaa tere kis ko ye qudrat milii hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now