Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

tumhaare zarre ke partav-e-sitaar-haa-e-falak

Ahmad Raza Khan

tumhaare fe'l kii naaqis misal ziyaa-e-falak

agarche chhaale sitaaro.n se pa.D ga.e laakho.n

magar tumhaarii talab me.n thake na paa-e-falak

ye miT ke un kii ravish par hu.aa KHud un kii ravish

ki naqsh-e-paa hai zamii.n par na saut paa-e-falak

tumhaarii yaad me.n guzrii thii jaagte shab bhar

chalii nasiim hu.e band diid-haa-e-falak

na jaag uTThe.n kahii.n ahl-e-baqii' kachchii nii.nd

chalaa ye narm na niklii sadaa-e-paa-e-falak

KHitaab-e-haq bhii hai dar baab-e-KHalq min ajlik

agar idhar se dam-e-hamd hai sadaa-e-falak

ye ahl-e-bait kii chakkii se chaal siikhii hai

ravaa.n hai be-madad-e-dast aasiyaa-e-falak

'razaa' ye naa't-e-nabii ne bulandiyaa.n baKHshii.n

laqab zamiin-e-falak kaa hu.aa samaa-e-falak

Source :
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now