chamak tujh se paate hai.n sab paane vaale
chamak tujh se paate hai.n sab paane vaale
miraa dil bhii chamkaa de chamkaane vaale
barastaa nahii.n dekh kar abr-e-rahmat
bado.n par bhii barsaa de barsaane vaale
madiine ke KHitte KHudaa tujh ko rakhe
Gariibo.n faqiiro.n ko Thahraane vaale
tu zinda hai vallaah tu zinda hai vallaah
mire chashm-e-aalam se chhup jaane vaale
mai.n mujrim huu.n aaqaa mujhe saath le lo
ki raste me.n hai.n jaa-bajaa thaane vaale
haram kii zamii.n aur qadam rakh ke chalnaa
are sar kaa mauqa hai o jaanai vaale
tiraa khaa.e.n tiire Gulaamo.n se uljhe.n
hai.n munkir ajab khaane Gurraane vaale
rahegaa yuu.n hii un kaa charachaa rahegaa
pa.De KHaak ho jaa.e.n jal jaane vaale
ab aa.ii shafaa.at kii saa.at ab aa.ii
zaraa chain le mere ghabraane vaale
'razaa' nafs dushman hai dam me.n na aanaa
kahaa.n tum ne dekhe hai.n chandraane vaale

- Book : Hadaeq-e-Bakhshish (Pg. 68)
- Author : Aala Hazrat Maulana Ahmad Raza Khan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.