allaah re faiz-e-aam dar-e-dastgiir kaa
Interesting Fact
منقبت درشان غوث پاک شیخ عبدالقادر جیلانی (بغداد۔عراق)
allaah re faiz-e-aam dar-e-dastgiir kaa
sadqa har ek paataa hai piiraan-e-piir kaa
Tuk.Daa har ek jholii me.n un kaa zaruur hai
sab par karam hai mere shah-e-be-naziir kaa
baazii usii ke haath hai dono.n jahaan kii
daaman hai jis ke haath me.n piiraan-e-piir kaa
dushman agar qaviisat nigahbaa.n qavii turaast
banda huu.n ek mazhar-e-rabb-e-qadiir kaa
ye banda-parvarii kii adaa bhii ajiib hai
kuchh farq hii nahii.n hai amiir-o-faqiir kaa
rutba samajh me.n aa nahii.n saktaa KHudaa gavaah
itnaa ba.Daa maqaam hai piiraan-e-piir kaa
aa.iina le ke apnii adaa.o.n pe luuT hai
sayyaad KHud shikaar hai apne hii tiir kaa
ham jii rahe hai.n sirf unhii.n kii panaah me.n
saaya bhii kaisii chiiz hai piiro.n ke piir kaa
'kaamil' nabii ke ba.ad barau.n ko sameTnaa
hissa hai sirf hazrat-e-piiraan-e-piir kaa

- Book : Wardat-e-Kamil (Pg. 14)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.