Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

allaah re shaadaabii-e-gulzaar-e-mohammad

Sattar Warsi

allaah re shaadaabii-e-gulzaar-e-mohammad

Sattar Warsi

MORE BYSattar Warsi

    allaah re shaadaabii-e-gulzaar-e-mohammad

    har phuul pe hai baarish-e-anvaar-e-mohammad

    qurbaa.n karuu.n gulshan-e-jannat kii bahaare.n

    mil jaa.e agar saaya-e-diivaar-e-mohammad

    dikhlaa de KHudaa mujh ko bhii vo aariz-e-taabaa.n

    kahtaa hai zamaana mujhe mai-KHvaar-e-mohammad

    insaan to insaa.n farishte bhii adab se

    hai.n sub.h-o-masaa haazir-e-darbaar-e-mohammad

    diidaar ke evaz yahaa.n KHud bikte hai.n aashiq

    dekhe to ko.ii garmii-e-baazaar-e-mohammad

    'sattar' uThe.n jhuum ke rahmat kii ghaTaa.e.n

    khul jaa.e.n agar gesuu-e-KHam-daar-e-mohammad

    Source :
    • Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 176)
    • Publication : Fine Books Printers (1993)
    • Edition : First
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now