allaah ne kaisaa shah-e-ziishan banaayaa

sarkaar ko kaunain kaa sultaan banaayaa
'ishq-e-shah-e-bathaa ko dil-o-jaan banaayaa
baKHshish ke liye ham ne ye saamaan banaayaa
ai rahmat-e-'aalam mai.n tire diin ke sadqe
ma.ngto.n ko tire faiz ne sultaan banaayaa
allaah bhii karataa hai sadaa jis kii tilaavat
chehre ko mohammad ke vo qur.aan banaayaa
darbaar me.n aate hai.n salaamii ko farishte
insaano.n me.n aisaa unhe.n insaan banaayaa
sultaan-e-rusul saahib-e-me.araaj tumhii.n ho
KHaaliq ne tumhe.n 'arsh kaa mehmaan banaayaa
ham ko to 'fanaa' haasil-e-me'raaj yahii hai
yaad-e-shah-e-kaunain ko iimaan banaayaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.