bayaa.n kyaa shaan ho sher-e-KHudaa kii
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت مولیٰ علی (نجف-عراق)
bayaa.n kyaa shaan ho sher-e-KHudaa kii
ye bazm-e-paak hai mushkil-kushaa kii
nabii kaa jism-e-athar jism-e-haidar
ye nisbat hai 'alii se mustafaa kii
shujaa'at aur saKHaavat aur vilaayat
ye daulat hai 'alii-e-murtazaa kii
'alii hai.n shaah-e-mardaa.n sher-e-yazdaa.n
hai.n quvvat baazuu-e-dast-e-KHudaa kii
gadaa.o.n ko shahanshaah kar rahe hai.n
ravaanii dekhiye bahr-e-saKHaa kii
KHudaa ke ghar ko ziinat baKHsh dii hai
vilaadat ne 'alii sher-e-KHudaa kii
rasaa.ii hai makaa.n se laa-makaa.n tak
'alii ke dar ke adnaa se gadaa kii
'alii ke laal ke faiz-e-qadam se
zamii.n hai 'arsh-e-aa'zm karbalaa kii
tufail-e-panjtan maqbuul hogii
'amiir'-e-saabarii jo jo du'aa kii
bayaa.n kyaa shaan ho sher-e-KHudaa kii
ye bazm-e-paak hai mushkil-kushaa kii
nabii kaa jism-e-athar jism-e-haidar
ye nisbat hai 'alii se mustafaa kii
shujaa'at aur saKHaavat aur vilaayat
ye daulat hai 'alii-e-murtazaa kii
'alii hai.n shaah-e-mardaa.n sher-e-yazdaa.n
hai.n quvvat baazuu-e-dast-e-KHudaa kii
gadaa.o.n ko shahanshaah kar rahe hai.n
ravaanii dekhiye bahr-e-saKHaa kii
KHudaa ke ghar ko ziinat baKHsh dii hai
vilaadat ne 'alii sher-e-KHudaa kii
rasaa.ii hai makaa.n se laa-makaa.n tak
'alii ke dar ke adnaa se gadaa kii
'alii ke laal ke faiz-e-qadam se
zamii.n hai 'arsh-e-aa'zm karbalaa kii
tufail-e-panjtan maqbuul hogii
'amiir'-e-saabarii jo jo du'aa kii
- Book : Kalaam-e-Ameer Sabri (Pg. 15)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.