talab kaa daaman pasaare baiThe hai.n dar pe ma.ngte hazaar KHvaaja

Ameer Bakhsh Sabri
MORE BYAmeer Bakhsh Sabri
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
talab kaa daaman pasaare baiThe hai.n dar pe ma.ngte hazaar KHvaaja
tumhaarii chaukhaT ke jo bhikaarii bane hai.n sab taajdaar KHvaaja
hai jaarii juud-o-saKHaa kaa mamba.a ye KHvaaja 'usmaan kaa hai sadqa
na jaa.e KHaalii ko.ii savaalii bas aaj sun lo pukaar KHvaaja
ai mere ajmer ke basayyaa pha.nsii hai aa kar bha.nvar me.n nayyaa
tufail-e-panjtan lagaa ke Thokar karam se kar diije paar KHvaaja
pilaa ke mast-e-alast kar do KHudii ko merii tum past kar do
aur apnii mast me.n mast kar do cha.Dhaa do aisaa KHumaar KHvaaja
tumhaarii chaukhaT ko chuumte hai.n aur gard rauze ke ghuumte hai.n
ye bin-piye aaj jhuumte hai.n tumhaare sab baada-KHvaar KHvaaja
hai rashk-e-jannat tumhaaraa kuucha tumhaare faiz-e-qadam kaa sadqa
sukuun-e-qalb-o-jigar hai KHvaaja tumhaare dar kii bahaar KHvaaja
jo chaaho duniyaa badal do merii jo chaaho hastii palaT do merii
ho tum 'amiir'-e-hazii.n ke vaalii tumhe.n hai sab iKHtiyaar KHvaaja

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.