mahbuub-e-KHaas-e-hazrat-e-sub.haa.n yahii to hai

jaan-e-jahaa.n yahii to hai jaanaa.n yahii to hai
ahl-e-zamiin-o-ahl-e-falak sab me.n shor hai
thaa jin ke dekh lene kaa armaa.n yahii to hai
kyaa husn kyaa jamaal hai kyaa aan-baan hai
mahbuub-e-KHaas hone ke shaayaa.n yahii to hai
KHvaan-e-karam unhii.n kaa yahii mezbaan hai
saaraa jahaan jin kaa hai mehmaa.n yahii to hai
pahu.nchaa 'amiir' josh-e-masarrat kahaa.n-kahaa.n
kaa'be me.n gul hai qibla-e-iimaa.n yahii to hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.