hai mire pesh-e-nazar aaj darbaar saabir
Interesting Fact
منقبت در شان صابر پاک حضرت علاؤالدین علی احمد (رورکی-اترا کھنڈ)
hai mire pesh-e-nazar aaj darbaar saabir
jaan-o-dil kyuu.n na karuu.n apnaa nisaar saabir
kyuu.n na kaahiida nazar aa.e falak par mah-e-nau
yaad hai us ko abhii tak tan-e-zaar saabir
tishna-kaam aaj nahii.n rahne ke hargiz mahruum
sar pe chhaayaa hu.aa hai abr-e-bahaar saabir
majma’-e-kHalq-e-kHudaa phir bhii hai har samt yahaa.n
go hai sunsaan bayaabaan me.n mazaar saabir
baaG-e-jannat pe nahii.n jis kaa ki iimaa.n qaa.im
dekh le vaadii kaliyar me.n bahaar saabir
dekhuu.n kyaa miltaa hai itne ba.De darbaar se 'arsh'
sar jhukaa.e huu.n kha.Daa pesh-e-mazaar saabir

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.