ye rauza jis me.n KHvaaja tuu makii.n hai
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
ye rauza jis me.n KHvaaja tuu makii.n hai
ye kaa'ba hai ki ye 'arsh-e-barii.n hai
vo kashtii hai mirii dariyaa-e-Gam me.n
sahaaraa jis ko tinke kaa nahii.n hai
yahaa.n to rone hii dhone se hai kaam
hamaarii aa.nkh hai aur aastii.n hai
jamaal-e-kHvaaja-e-’aalam to dekho
ruKH-e-raushan pe zulf-e-’ambarii.n hai
KHudaa kii zaat tujh me.n tuu KHudaa me.n
ye kyaa qissa hai kuchh khultaa nahii.n hai
ba-ra.ng-e-sa.ng-e-dar baiThaa hu.aa huu.n
qadam ajmer se uThtaa nahii.n hai
kahaa.n jaa.uu.n tire dar se mai.n KHvaaja
ki bekas huu.n miraa ko.ii nahii.n hai
KHudaayaa ab badal de suurat-e-Gam
tuu suurat-gar hai suurat-aafrii.n hai
sukuun-e-qalb haasil aaj hai 'arsh'
nigaahe.n hai.n jahaa.n dil bhii vahii.n hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.